Ek Din aaya mere man mey, kya hota shamshaan ghaat mey.
Nar jalta, naari hai jalti, jal jaata hai poora tan,
Irshaya jalti, kuntha jalti,
Laalach, Ghrina, Krodh hai jalti,
Na koi fir Gun rah jaatey, jal jaata hai jeevan man !
Na Gareeb, Na ameer, Na dabang, kamzor,
Sab jaltey hai ek samaan, jeevan ki maya sey door.
Jaati rahit, adhikaar rahit, aur na aarakshan ka zor !
Sabki chita ka ek uddeshya, shanti moksha ki oar !
Ye Jeevan hai ik vardaan, tujhko bhent anmol,
Fir kyu swartha, kyu hai ghrina, kyu laalach ghanghor,
Jeevan Kaal ka ant padao, jab hai samshaan ki oar.
Ek Din aaya mere man mey, kya hota shamshaan ghaat mey.
-KGS
.
No comments:
Post a Comment